Marhaba Ya RAMADAN NASHEED 2025 | Vocals & Duff only | Abdul Malik Fareed & Aqib Farid

Опубликовано: 06 Май 2026
на канале: Abdul Malik Fareed
997,803
48k

Sponsored by
Ahmed Al Magrabi Perfumes
Get 10% Off in All Over Saudi Arabia by Name of Abdul Malik Fareed

This is A Ramadan Nasheed By Abdul Malik Fareed And Aqib Farid


Lyrics: Usman Abbas & Zain Javed
Directions: Abdul Malik Fareed & Zain Javed
Producer: Abdul Malik Fareed
DOPs: Sultan, Fahim, Hassan & Harris
Mixing & Mastring: Aqib Farid
Composition: Aqib Farid & Zain Javed
Special Thanks to Noor Bhai & Tauseef Bhai


My Instagram
  / abmalikfareed  
My Twitter
  / abmalikfareed  
My Facebook Page
  / abmalikfareed  

Lyrics of Nasheed

Mahraba ya ramadan
Mahraba ya ramadan


Mubarak baad aye logoon
k phir Ramzan aya hai

Khuda ki khas rehmat se
bhara mehman aya hai

Khuda ki zaat e wahdat ki
ibadal lazmi thehri

NabiUllah ki har lamhe
attaat lazmi thehri

Tarawi ho yaan quran ki
talawat lazmi thehri

Issi main aasman se ard
per quraan aya hai


Mahraba ya ramadan
Mahraba ya ramadan


Koi aye meri rehmat
meri har dam raza mange

Musibat se ghamoon se bach
nikalne ki dua mange

Koi aye jo bakhsish ki
fakat mujhse ata mange

Main ker dunga ye sab, rab ka
yehi elaan aya hai

Masajid main hui roonak
khuda ki rehmateen aeen

Ibadat ki talawat ki
ajab hi raahteen paeen

Mahraba ya ramadan
Mahraba ya ramadan


Khuda se tum bare rutbe
ager chaho rakho roze

Jo us ki khaas rehmat ki
nazar chaho rakho rooze

Agr uqba main bakhshish ki
khabar chaho rakho roze

Khuda ka is mahine main
bara ehsan aya hai

Sehr iftar ki soorat
khuda ki neemateen paeen

Shiateen qaid hain un Per
bara nuqsaan aya hai

Mahraba ya ramadan
Mahraba ya ramadan


Layla tul qadr aae gi
Tayari kar lo ay logo
Mehekti dil lubha khushbu
Muattar ho k tum niklo
Isay jo pana chaho taq
raton may milo is ko bhi
Hazar maah se barh kar
Yehi inaam aya hai
Isay aksar he pa liya
Hai aitakaf walon nay
Chalo phir kar lo niyat Tum
k phir ramadan aya hai