Rehmani Aur Shetani Itlat mein Farq - Shaitani Waswasy - Rehmani Khayal - Shaitani Khayalat

Опубликовано: 06 Июль 2026
на канале: Allah Ki Pehchan
11,720
431

Asslam o Alailum Nazeen hum aap ko humary is channel Allah Ki Pehchan mein khush aamded kehty hain.
Rehmani Aur Shetani Itlat mein Farq - Shaitani Waswasy - Rehmani Khayal - Shaitani Khayalat
aaj hum INSHAALLAH ALLAH TAALA ki di hoi tofeeq se jis mozu par baat krain ge wo ye hai ke itlaat kia hai achi aur buri itlaat mein kia farq hai aur kia insaan sahib e ikhtiyar hia.
itlaat kia hai ?
Rehmani aur shetani itlaat mein kia farq hai ?
Rehmani itlaat kon si hain aur kahan se aati hain ?
shetani itlaat kon si hain aur kahan se aati hain ?
kia dono itlaat aik hi waqat mein aati hain aur in mein kitna farq hai ?
kon sa asa kaam hai jo hum kar ke is par amal karney par majbor ho jatay hain ?
kia insaan sahib e ikhtiyar hai ?
itlaat kia hai ?
aik lehar hai, aik roshni hai, aik pegaam hai "
ab hum achi aur buri itlaat par gor o fikar kartay hain ke ye kesay hum tak puhanchti hain"
Rehmani itlaat kon si hain aur kahan se aati hain.
zikar Namaz sachai khalos hamdardi ahsaas piyar neki ke har kaam ki itlaa Allah Talaa ki taraf se loh e mehfoz se hoti hoi farishton tak puhanchti hai.
aur farishtay Allah ke hukam ki tameel kartay huey ye tamam itlaat insaan tak puhanchatay hain.
shetani itlaat kon si hain aur ye kahan se aati hain.
jhoot, chugli, hasad, bagaz, gussa, gaali galoch, chori, nafrat o shabhaat.
burai ke kaam ki itlaa iblees ki taraf se insaan tak puhanchti hai.
dono itlaat aik hi waqat mein hum tak puhanchti hain.
in dono mein sirf baal brabar farq hai.
itlaa ka nazool bohat tezi se hota hai. in mein thehrao peda karna hi asal kamyabi hai" isi ley bazurg farmatay hain pehley baat ko tolo phir moun se bolo"
phir is ko samj kar is par amal karo. kun ke insaan sahib e ikhtiyar hai.
itlaa milney ke baad jesa wo amal karta hai. wesa hi record phir is ke naama e aamal mein darj ho jata hai.
shetaan bari yaksoi ky sath baat zehan mein dalta hai aur insaan jab yaksoi ke sath tawaja karta hai to wohi amal karney par majbor ho jata hai jis ki waja se is mein kaseef roshniyan jama ho jati hain aur achey burey ki tameez nahi rehti.
shetaan hamain sirf itlaa deta hai zabardasti kuch bhi nahi karwata
farishtey bhi sirf itlaa detay hain zabardasti kuch bhi nahi karwatay
aik qanoon hai ke kainaat mein jis cheez ke baray mein sochain ge wo cheez aap ko apna ilam muntaqil karay gi. jesay aap agr burai ke baray mein sochain ge to iblees burai ki tamam baatain aap ke zehan mein muntaqil karna shoro kar dey ga. aur agr aap neki ke baray mein sochain ge to Allah Taala ke pakeza farishtey tamam neki ki batain aap ke zehan mein muntaqil karna shoro kar dein ge.
ALHAMDULILLAH aaj hum ne achi aur buri itlaa par gor o fikar kia. ke ye dono kahan se aati hain aur kesay in ka humari zindgi mein amal dakhal hai. iblees se milney wali har itlaa humain be sakoni preshani pusti aur apney Allah se door kar deti hai.
Allah Taala ki tarf se milney wali har itlaa humain khushi sakon aur bulandi ki tarf puhanchati hai aur hamara taaluq apney Rab se mazbot se mazbot bananey mein humari madad karti hai.
Quran Hakeem mein darj hai jis ka tarjma ye hai ke shetan ne kaha ae Allah muja muhlat de main Aadam ki aulaad ko gumraah kar ke chorun ga sirf wahi log meray daam faraeb se bach sakain ge jo teray nek bandey hon ge.
Allah Taala ne shetan ko muhlat di aur farmaya jaa in mein se jo teray faraeb mei aain in ko to apney dam e faraeb mein phansa. lekin meray mukhlas bandon par tera zaur nahi chalay ga.
humey umeed hai ke aap ko humari yeh koshesh passnd aai ho gi aur agar aap ko humari yeh video passnd ay to plz esy like karin aur esy apny pyarun ke sath share karin aur humary is Channel Allah Ki Pehchan ko zrur Subscribe karin, aap ka bohat bohat shukria.
#AllahKiPehchan #ruhaniyat #ruhaniilam
******************************************************
Plz humey follow karin:
YOUTUBE:    / allahkipehchan  
TWITTER:   / allahkipehchan  
FACEBOOK:   / allah-ki-pehchan-279747499183560  
*******************************************************