Wall Molding Ideas for a Home Lounge
Agar aap apne ghar ke lounge ko ek elegant aur stylish touch dena chahte hain, toh wall molding ek behtareen option hai. Wall molding na sirf aapke room ko ek luxurious look deti hai balki is se walls ka charm bhi barhta hai. Is article mein hum ek lounge ke liye wall molding design discuss karenge jisme humne 6 diwaaroon par molding frames banaye hain.
Pehli Diwaar:
Size 15 feet wide, 10 feet height
Is diwaar par teen frames banaye gaye hain. Beech mein ek wide frame hai, jabke dono sides par chhote frames hain. Yeh design aapke lounge ko ek balanced aur sophisticated look dega.
Doosri Diwaar:
Size 10 feet wide, 10 feet height
Is diwaar par ek bara frame banaya gaya hai. Yeh frame is diwaar ko focal point banane mein madad karega.
Teesri, Chauthi aur Panchveen Diwaar:
Size 9 feet wide, 10 feet height
In teenon diwaaroon par ek ek frame banay gay hai. Yeh design aapke lounge ko uniformity aur symmetry deta hai, jo aapke room ko zyada appealing banata hai.
Chhati Diwaar:
Size 5 feet wide, 10 feet height
Is diwaar par bhi ek frame banaya gaya hai. Yeh small frame aapke lounge ke overall design ko complete karta hai.
Materials aur Costing:
Sab diwaaroon par double frames banaye gaye hain. Bahar wala frame 1.5 inch wide molding ka bana hai, aur andar wala frame 1 inch wide molding ka.
Total 27 stripes 1.5 inch ke aur 27 stripes 1 inch ke lage hain.
1.5 inch stripe price: 1150 PKR per stripe
1 inch stripe price: 800 PKR per stripe
Wall Molding Benefits:
Wall molding aapke lounge ko ek classic aur timeless look deta hai.
Yeh diwaaroon ko protect karne mein bhi madad karta hai, aur aapke interior decor ko enhance karta hai.
Agar aap luxury aur elegance chahte hain toh wall molding is a must!
Is design ke zariye aap apne lounge ko ek naya aur modern look de sakte hain jo har kisi ko pasand aayega. Wall molding ki ye ideas na sirf unique hain, balki aapke ghar ke ambience ko bhi enhance karenge.