MUZZ - VAASTAV (OFFICIAL AUDIO)

Опубликовано: 18 Август 2026
на канале: MUZZ
4,041
224

Official Audio of ‘VAASTAV’ Written & Performed by MZ

Subscribe to Moin Shaikh MZ

   / moinshaikhmz  

Album coming soon!!!

Lyrics below :


Intro

Yo, vaastav

Hook

Acha hai ladka saat agar khadega
Bura hai mahol naad me jab padega
Judah jasbaat se, galat me fasega
Khuda hai saat me kon usse ladega

Sach rakha saamne kab usse padega
Jeera wo shaanse, imaan pe chadega
Jo rabke kaam me, kabhi nahi sadega
Dajjal jab aayga murda bhi khadega

Verse

Baaki sab mitthi hai, shaitan sab aag me
Bura samaaj ye, baaki sab raaz
Aaj agar smjhega, kal itihaas me
Pyar maa baap se, kiski talaash

Chamkta hira, fir samajhta baad me
bache jab yaad sirf, asal kon saat
Shatir sab baat me, Waade lautake
Chadna tha chaand me, dikhgayi aukaad

Aaine ko dekhe jab dikha faulad mein,
Nasal kar paak, jayga aulaad me
Kitaab tilawat hai 1 hai 100 laakh me
Maut nahi mili rab ki saugat

Rab ka shukraan hai, diya jo mohlat ye
Habib ki ummat hai, wahi to shaurat hai
Kimti dalut nahi, kimti aurat hai
Bachlo, sab ko rab ki saubat hai

Q pareshan, meri jaan meri maan,
Imaan rakho saaf, pehchaan, uski shaan
Nafz karna kaabu me chiz lena thaan
Rab ka jo diya hai kar usko daan

Baatil armaan, shaitan ka hai baan
Maahiri khaak, jaakh girebaan
Dhyan rakhna zubaan pe, bharde udaan
Achai ki raah me kar mat guman

Sine ko taan ke chal mat is dharti me
100 saal baad sab gayab is dharti se,
Uski niyamat tu soch sakta marzi se
Sudhar ja jaldi se, Dur nikal gardi se

Gunda ye wardi hai, kalam sab farzi hai
Maula ka karam, marham wo darzi hai
Kharche ki charbi hai, Paiso ki kadki hai,
Aankhe sambhal tere ghar me bhi ladki hai

Hook

Acha hai ladka saat agar khadega
Bura hai mahol naad me jab padega
Judah jasbaat se, galat me fasega
Khuda hai saat me kon usse ladega

Sach rakha saamne kab usse padega
Jeera wo shaanse, imaan pe chadega
Jo rabke kaam me, kabhi nahi sadega
Dajjal jab aayga murda bhi khadega

Verse

Chahat rakh maqsad se, nekh rakh irade
Jo jaate wo wapas nahi aate,
Kaali thi raate, kuch banne me kaate
Har subah ek nayi shuruwat hai

Dard hi shikata sukh kaise manaate,
Apne sab khush ho laa paise kamake
Sapne dekh bade koi dekh nahi paate
Jeena ye kitab chal panne sajaate

Bade rakh iraade kaha tak jeena hai,
Dil me rakh pyar duniya me kina hai
Asal hai zindagi na sirf mahima hai
Kisi ke saat to kisi ke bina hai

Zanjire tod de, pidi ko paas kar
Mili jo sikh, unsab ko yaad kar
Sachai dekh duniya k jhut pe mat naaz kar
Kal ki chod baat aaj itihaas kar

Waise bhi neende nahi aankho me raat bhar,
Kabhi naach kar kabhi likhe raate jaag kar
Rehmat barsa kar, khafa tarsa kar
Shaam me to aaye din wo guzar kar,

Jo kuch abh yaha par apna hai
Wo kuch ka sirf abh tk ek sapna hai
Karke rachna in dilo me busna hai
Zindagi phool kaato se bachna hai

Hook

Acha hai ladka saat agar khadega
Bura hai mahol naad me jab padega
Judah jasbaat se, galat me fasega
Khuda hai saat me kon usse ladega

Sach rakha saamne kab usse padega
Jeera wo shaanse, imaan pe chadega
Jo rabke kaam me, kabhi nahi sadega
Dajjal jab aayga murda bhi khadega

Outro

MZ

#mz #vaastav #blax