baat cheet ka tarika بات چیت کرنے کا طریقہ by taleem hi taleem

Опубликовано: 10 Сентябрь 2026
на канале: Taleem Hi Taleem
12,304
141

My face book page click here http://bit.ly/2ewJ4lV
My blog website : https://taleemhitaleem.blogspot.com/
hamain baat karnay ka sahi tareeka pata hona chahye warna har jaga mushkilat or pareshani ka samna karna par sakta hai baron ka kol hai k ba adab ba naseeb bay adab bay naseeb is lye apnay apko kabhi bhi fazool ki baton main na dalo sirf kaam ki baat hi ki jay har wakt sanjeeda nahi rahna chahye halka phulka mazak bhi karna chahye par kisi ki dil azari nahi honi chahye is baat ka dhehan rakhna chahye ye nahi kai jo mun main aye boltay gay kabhi kabhi zuban ki waja sai pitai bhi khani par sakti hai isi lye dhehan rakhain baat kartay waqt baron or choton sai kis tarah baat karni hai us baat ka khas dhehan rakha jay ye nahi k chota hai to usko hakeer jan kar usko zaleel kya jay kabi kabhi chotay bachay bhi aisi baat kardaitay hain k baray bhi heran ho jatay hain deen ki batain karain achay logon main rahain kisi ka dil na dhukain pahlay tolo phir bolo ye nahi kai boldya phir soch rahay ho jab tak buhat zaroori na ho baat karna us waqt tak to khamosh hi raha jay or koshish karain kai haftay main aik din aisa rakhain jis din ap koi baat na karain ye ap ko fazool baton sai bachayga InshaAllah or jo zyada bolnay walay afrad hain udhar sai apnay apko bacha lya karain taa kai ap bhi unki tarah na ho jain apnay aik aik alfaz ko soch samajh kar bolain Q K insaan jab bolta hai to uska kirdar zahir ho raha hota hai ye video mairay youtube channel taleem hi taleem ki janib sai paish ki gai hai