🤲 Karbala mashaallah | Beshak ali ke laal ki mehnat hai karbala | बेशक अली के लाल की मेहनत है करबला

Опубликовано: 24 Октябрь 2024
на канале: Technical Ansari Noorul
114
29

🤲 Karbala mashaallah | Beshak ali ke laal ki mehnat hai karbala | बेशक अली के लाल की मेहनत है करबला

#shortsfeed #trendingshorts #viralshorts

Labbaik ya hussain

Jiye shaah hussain jiye shaah hussain

zinda jahan mein taaba qayamat hai karbala
sadaat e karbala ki amanat hai karbala
duniya ke har ghareeb ki izzat hai karbala

Jiye shaah hussain jiye shaah hussain

Jannat e maa karbala rooh e azaa karbala
noor e khuda karbala baab e dua karbala
khaak e shifa karbala ghum ki dawa karbala jannat e maa karbala

jannat e maa karbala

Karbobala khoon e Mohammad se saji hai
Karbobala ishq e hussain ibn e ali hai
teri zameen moalla

Karbala karbala mashaallah
tu rahegi sadaa inshaallah

Mashallah mashallah karbala

Aao chale karbala
ban ke safeer e azaa
sar pe ho parcham khula
ishq e azaa saath rahe
ashko ki barsaat rahe
haatho mein bus haath rahe
teri zameen moalla

nainawa nainawa mashallah
tu rahegi sadaa inshaallah

Mashallah mashallah karbala

Jiye shaah hussain jiye shaah hussain
Jiye shaah jiye shaah

Karbobala khaak thi
khaak ko izzat mili
khaak e shifa bangayi
aaye hussain ibn e ali
surat e gulzar saji
ghazi ki jageer bani
teri zameen moalla

marhaba marhaba mashallah
tu rahegi sadaa inshaallah

Mashallah mashallah karbala

Jiye shaah hussain jiye shaah hussain
Jiye shaah jiye shaah

Hum tere zawwar hain
tere azadaar hain
khadim e darbaar hain
nara e labbaik mera
matam e shahe shohada
lo mai chala karbobala
teri zameen moalla

shukriya shukriya mashallah
tu rahegi sadaa inshaallah

Mashallah mashallah karbala

Jiye shaah hussain jiye shaah hussain
Jiye shaah jiye shaah

Meri dawa karbala
meri shifa karbala
meri baqa karbala
daulat e maa karbobala
quwwat e maa karbobala
izzat e maa karbobala
teri zameen moalla

rehnuma rehnuma mashallah
tu rahegi sadaa inshaallah

Mashallah mashallah karbala

Jiye shaah hussain jiye shaah hussain
Jiye shaah jiye shaah

Aye shahe karbobala
koi nahi aap sa
ek hai bus karbala
sarwar o rehan chalo
leke ye armaan chalo
nazr kare jaan chalo
teri zameen moalla

Jaane maa jaane maa mashallah
tu rahegi sadaa inshaallah

Mashallah mashallah karbala

Zindabad karbala zindabad ya hussain
Jiye shaah jiye shaah

Beshak ali ke laal ki mehnat hai karbala
Zehra ke khandaan ki daulat hai karbala

jo bhi yahan hussain ka zawwar ban gaya
hurr bangaya koi koi mukhtaar ban gaya

Karbobala sayebaa karbobala paasbaan karbobala noor e jaan

saari zameeno ki maa

ishq o mohabbat ka nishan
farsh pe hai arsh jahaan
jannat e arzi ka samaa
deen panaah sajda gaah madresa darsgaah hal yazah hal ataah

tu hai dayaar e hussain mashallah mashallah
tu dil e zahra ka chayn mashallah mashallah
rooh e dil e mashraqain mashallah mashallah
tere liye har dua inshallah inshallah
tere liye har sadaa inshallah inshallah
jaari rahegi sadaa inshallah inshallah

Karbala karabala

Hai hamari darsgaah Karbala karabala
haq ka seedha raasta Karbala karabala
Ibadato ka raabta Karbala karabala
har ek hurr ki rahnuma Karbala karabala
hussainiyat ka madrassa Karbala karabala
Baqa e harf e laa ilaah Karbala karabala
Hussain jiska baadshah Karbala karabala
Hussain jiska baadshah Karbala karabala
Hussain jiska baadshah Karbala karabala

Labbaik ya hussain