BAYRE AYE - Big Scratch | Prod. Cedwood

Опубликовано: 15 Июль 2026
на канале: Big Scratch
23,607
2.7k

#justiceformoumita #RGKar #BAYREAYE

Translated lyrics:

Utha awaaz, Kiska hai jurm, SAZA HO
Jala Mashaal, Bhale hi raat yeh subah ho
Kiska hai haath? Kiska aparadh, TU BAHAR AA
Ho na jaye aaj, Tere lahu se laal, Wahi RG KAR


Maa Kali tere Kolkata ka kyun nass hai kata
Kyun raahon pe khoon hai?
Utar aayi hai janata sadkon pe
Aaj virodh hoga
Aur bachna hai mushkil
Kitne balaatkari chupaaye gaye hain tere
Safed kapdon ke peeche?
Baat saaf hai
Kitne balaatkar huwe hain
Tere jhande ko hathyaar banaake?
Rashtra ke gehraai tak araajagta (anarchy) hai
Maa aur behenein ro hai hain
Kab tera insaan jagega?
Ab aag lagegi

Janta jo so rahi thi, jaag rahi
Utha rahi hai janta awaaj ek
Yeh janta hai, kaanoon ke haath nahi
Kahin le le na kaanoon yeh haath mein
Kya baantegi dharam ke naam pe?
Ek maa ka na dharam, na jaat hai
Jab baat aati aurat ke zaat pe
Har mazhab har dharam samaan hai
Abhaya tu Durga ki roop thi
Abhaya tujhpe humko naaz hai
Jin saanson ko tune gawa diya
Un saanson se jal rahe mashaal hain

Utha awaaz, Kiska hai jurm, SAZA HO
Jala Mashaal, Bhale hi raat yeh subah ho
Kiska hai haath? Kiska aparadh, TU BAHAR AA
Ho na jaye aaj, Tere lahu se laal, Wahi RG KAR

SAZA HO!
SUBAH KO!
BAHAR AA!