Nazr e Bad Se Hifazat Ki Qurani Dua
Aaj hum nazar bad ki aik aisi Qurani dua aur uski fazilat aap se share karenge jo dua har Musalman ko yaad hai aur ziada tar Musalman is dua ko parhte hain aur apne bachon par bhi dam karte hain. Yeh dua mubarakah Quran ki sab se badi ayat mubarakah Ayat al Kursi hai jo ke nazarbad se shifa aur hifazat ke liye sab se zyada pur taseer hai. Yaad rahe ke har Musalman ko sab se zyada jinnat ki nazar lagti hai kyun ke jinnat Musalman se bohat zyada hasad karte hain aur yeh har jagah mujood bhi hain aur in ki tadad bhi insano se kayi guna zyada hai. Bachon ka bay jaa zid karna, hadsa hona, la ilaj bimari ka lahaq hona, aur ghar mein rizq ki bohat kami hona jinnat ki nazarbad ki wajah se ho sakta hai. Jinnat chunke shayateen mein se hain aur shayateen Ayat al Kursi se sab se ziada khauf khate hain aur yeh baat hadees mein mujood hai. Aik hadees mubarakah ke mutabiq nazarbad ki wajah se kisi Musalman ki maut bhi ho sakti hai. Isliye nazarbad se shifa aur hifazat ke liye hum apko Ayat al Kursi ka aik din ka khaas wazifa bata rahe hain. Yeh wazifa karne ke baad aap ki jaan, aulad, ghar, izzat, karobar, aur sehat hamesha nazarbad se mehfooz rahenge. Agar koi bhai ya behen rozana aik martaba Ayat al Kursi pabandi se parhne ki adat daal lete hain toh bhi woh hamesha nazarbad aur har qisam ke shar se mehfooz rahte hain. Lekin agar koi bhai ya behen yeh chahte hain ke un ki jaan, maal, izzat, aulad, ghar, karobar, sehat aur kamiyabi hamesha nazarbad, kala jadoo aur jinnat ke shar se mehfooz rahein toh woh Chand ki pehli Jumeraat ko Isha ki namaz ke baad awal aur aakhir 10-10 martaba Durood Pak wird karen aur darmiyan mein woh do nafal namaz Hadiya Muhammad Ale Muhammad is tarah ada karen ke in dono nawafil mein aap Alhamd Sharif ke baad 3-3 martaba Surah Ikhlas tilawat karen. Nawafil ada karne ke baad aap ne 700 martaba Ayat al Kursi mohabbat se tilawat karni hai. Yeh amal mukammal hone ke baad aap 3 masakeen ko khana khila dein aur is ke baad aap rozana 10 martaba Durood Ibrahimi aur 7 martaba Ayat al kursi wird karne ki adat daal lein. Yeh amal karne ke baad aap ki jaan, maal, aulad, ghar, izzat, karobar, aur kamiyabi ka rohani hisaar qaim ho jayega aur is ki wajah se aap par nazarbad, kala jadoo, bad asraat, nahust aur dushman ki kisi chaal ka koi asar nahi hoga.
#nazarbadsehifazatkidua #nazarbadkiquranidua
#NazarBadProtection #AyatAlKursi
#ProtectionFromEvil
#dua #wazifa #quran #islam #nadeali #naadeali #nadyali #naadyali
https://www.naadeali.com/nazr-e-bad-k...