Achy Rishta K Liye Wazifa Surah Yaseen

Опубликовано: 15 Июль 2026
на канале: Nad e Ali
295
14

Achy Rishta K Liye Wazifa Surah Yaseen

Mojooda waqt mein har nojawan larka aur larki rishte ke hasool ke mutalliq pareshani ka shikar hain. Jiski bohat bari wajah social issues aur rishte walon ki woh expectations hain, jin ko pora karna aam insaan ke bas ki baat nahi hai. Lehaza agar kisi bhai ya behan ke liye acha rishta aa bhi jata hai to woh mehaz rishte walon ki khwahishat aur demands ki wajah se tay nahi ho pata, aur yeh silsila chalta hi rehta hai. Jiski wajah se larkay, larkiyan, aur unke parents shadeed pareshani ka shikar ho jate hain. Lehaza agar kisi ladki ya ladke ke liye acha rishta nahi a raha ya rishta tay nahi ho pata ho to is ke liye aap Surah Yaseen ka wazifa karein, inshallah 7 din mein aapke rishte ke hawale se pareshani door ho jayegi aur aap jaisa chahen ge aapko waisa hi rishta hasil ho jayega. Pasand ke mutabiq acha rishta jald hasil karne ke liye aap Jummah ke din Fajr ki namaz ada karne ke baad awwal aur aakhir 10-10 martaba Durood Pak parhein aur darmiyan mein aap aik martaba Surah Yaseen ki tilawat is tarah karein ke jab aap Surah Yaseen ki ayat 'سلام۔قولا من رب رحیم par pounchen to aap is ayat mubarakah ko 300 martaba tilawat karein. Is ke baad aap Surah Yaseen ki baqi ayat tilawat karein. Yeh wazifa aap ne 7 din tak karna hai, aur agar 7 din mein aapko behteri mehsoos na ho to aap is wazifa ko 14 din tak karein, inshallah is wazifa ke doraan hi aapko acha rishta hasil ho jayega.

#achyrishtakliyewazifa #wazifasurahyaseen
#WazifaForRishta #proposal #wazifaforproposal #goodproposaldua #dua #wazifa #quran #islam #nadeali #naadeali #nadyali #naadyali
#RishtaWazifa
#GoodRishta
https://www.naadeali.com/wazifa-for-p...