Hamare ghareeb khanay par Majlis-e-Hussain (as) ki saadat naseeb hui,
jisme Gahwara Bibi Sakina (sa), Shabih Zuljanah Rehwar-e-Hussain (as) ki baramadgi aur Parcham Kushai ki babarkat rasoomat ada hui.
Teh-e-dil se mamnoon o mashkoor hain baradar Farhaj Rizvi ke,
jinhnone bohot aqeedat o mohabbat se noha khwani ki aur mehfil ko yaadgar banaya.
Ya Maula Hussain (as)! Hamare is khuloos aur ibadat ko apni bargah mein qubool farma,
hamare gharon ko hamesha Ahlulbayt (as) ki mohabbat o noor se manawwar rakh,
hamari duaaon ko sharaf-e-qubooliyat ata farma,
aur jo Momineen o Mominaat pareshan haal hain, unki mushkilaat o hajaat ko
Bibi Fatima Zahra (sa) ke sadqe apni karam nawazee se door farma.
Ya Allah! Hume baar baar yeh azadari karne ki saadat ata farma
aur Roz-e-Mahshar hume Hussain (as) ke ghulamon mein shumar farma.
Ameen Ya Rabbal Aalameen.
#MajlisEHussain #GahwaraBibiSakina #ShabihZuljanah #ParchamKushai #RehwarEHussain #Azadari #NohaKhwani #LoveForAhlulbayt #YaHussain